Agar aapne Vlookup ka istamaal nahi kia hai?, toh ye Formula janna bohot Jaruri hai Excel mai:
Bohot jaan aise hoge jinhone Vlookup likha jarur hai but istamaal karte karte Confusion hota hai kbhi ki,
Kab? Kiss situation mai hume Vlookup istamaal karna chaiye?
Chaliye Dosto! Mai aapko batauga ki, ye Foundation Vlookup Kab aur Kaise use kare:
The Story of Vlookup – University Score:
Colleges mai jaise he University k Exams khatam hote the aur jab results nikalne ki baari aati thi,
Tab University waale saare Scores printout lekar Green Board par chipka dete the.
Students ki responsiblity hoti thi ki, apna Roll No. aur apne Naam k jariye apna Score pata kare:
- Naam/Roll no. Dhunte the(Generally, alphabetical order mai hote the)
- Line mai jitne Subjects hai vo ek ek karke note karte the
Why is it call Vlookup?
- Aap ek ID/Naam k jariye, Uppar se Niche(Top to Bottom vertically⇓) aap uss naam ko dhund rahe ho 1st Column mai, jaha vo paaya jaaye.
- Agar vo mil jaaye, toh uska Baju(side⇒) waale columns mai jo values hai unko pull karna hai
Toh chaliye Dosto! Mai aapko dikhata hu ek bohot he Basic Formula of Vlookup:
Mere pass Char(4) Students hai:
- Jignesh Bhai → 88
- Sourav Dada → 92
- Mogambo → 100
- Rishabh → 45
Toh Chaliye Dosto! Sourav Dada ka Score pata lagate hai:
- Sourav Dada ko Copy kare
- Ctrl + F(Find) kare
- Paste kare
- Find Next dabaye
- Cursor Sourav Dada par le aayega aur uska Score janiye
But, mai chahta hu ye Automatic ho
Agar mai Naam Change krke Jignesh Bhai karu, toh Answer mujhe mil jaaye.
Toh Chaliye Dosto Shuru Karte hai iss Khel ko:
Note: Jo Lookup Value aapne Choose kiya hai vo Lookup Value aapko pehle Column mai paaya jaaye, agar aapne table usske pehle waale Column par se select karoge toh aapko Answer nahi milega
- Type kare → {=VLOOKUP(}
- Select kare Sourav Dada ko, Press Comma(,) → {=VLOOKUP(N1,}
- Pehle Column ko Choose karte hue Dusre Column ko bhi Choose kare, Press Comma(,) → {=VLOOKUP(N1,N6:09,}
- Press 2(Yaaniki Dusra Column se Answer nikala jaaye), Press Comma(,) → {=VLOOKUP(N1,N6:09,2,}
- Press → False – Exact Match {=VLOOKUP(N1,N6:09,2,FALSE}
- Close Bracket → {=VLOOKUP(N1,N6:09,2,FALSE)}
- Press ENTER ↵
Waah Bhaiya! Answer mil gaya→92
- Type kare Jignesh Bhai, Sourav Dada k badle
- Press ENTER ↵
Waah Bhaiya! Automatically Answer Change hogya.
Aise he sub Naam k saamne Answer Automatically change hoga
Note: Naam likhte waqt Spelling jo Table mai voi Likhna, varna Answer nahi aayega.
Chaliye Dosto!, aur ek majje ki baat batat hu aapko:
- Aur Ek Subject k Score Add kardo Randomly
- Type kijiye Rishabh
- Formula k uppar Double Click kijiye
- Table ko Extend kare
- Column Number ko Change kare(3) → {=VLOOKUP(N1,N6:09,2,FALSE)} ⇒ {=VLOOKUP(N1,N6:09,3,FALSE)}
- Press ENTER ↵
Waah Bhaiya! Yaha dusra Subject ka bhi Answer aagya→55
Vlookup mai aur bhi bohot Advance Levels hai
Mai aapko agle Videos mai batauga.
Toh Dosto, ye tha humara Basic Vlookup.
- Humare Excel Videos dekhte rahiye:
- Sikhte rahiye
- Sikhate rahiye
- Or baniye Excel Superstar.
0 comments:
Post a Comment